Sunday 12 October 2008

FAVOURITE SONGS - O Mere Dil Ke Chain

Another Family Favourite

This was a very popular song in the early 70's when the Kishore Kumar & Rajesh Khanna wave was churning hit after hit. There has been countless number of remixes to this song especially in the 90's.
Romantic Kishore at his best.

http://uk.youtube.com/watch?v=l__rgs4JvRA&feature=related

here is the lyric of this song if you like reading

film : Mere Jeevan Saathi 1972
singer : Kishore Kumar

music : R D Burman
lyrics : Majrooh Sultanpuri


O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain

Apna Hi Saaya Dekh Ke Tum Jaane Jahan Sharma Gaye
Abhi To Yeh Pehli Manzil Hai Tum To Abhi Se Ghabra Gaye
Mera Kya Hoga Socho To Zara
Haay Aise Na Aanhe Bhara Kijiye
O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye

Aap Ka Armaan Aap Ka Naam Mera Tarana Aur Nahin
Inn Jhukti Palkon Ke Siva Dil Ka Thikana Aur Nahin
Jachta Hi Nahin Aankhon Mein Koi
Dil Tumko Hi Chahe To Kya Kijiye
O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye

Yun To Akela Bhi Aksar Gir Ke Sambhal Sakta Hoon Main
Tum Jo Pakad Lo Haath Mera Duniya Badal Sakta Hoon Main
Maanga Hain Tumhe Duniye Ke Liye
Ab Khud Hi Sanam Faisla Kijiye
O Mere Dil Ke Chain
Chaen Aaye Mere Dil Ko Dua Kijiye
O Mere Dil Ke Chain O Mere

No comments: